Google Algorithm Hummingbird Update Kya Hai ?

Aaj ki Yah Post Search Engine Optimization per Hai. Jisme Ham Google Core Algorithm ke Mukhay Update Google Hummingbird ke Baare me A-Z Jankari Prapt karenge.Yah Update Sabhi Webmaster Bloggers ke liye Bahut important hai.


Jaisa ki aap sabhi jante hai ki Pichli Post me Maine Google ke Panda Update ke Baare me aapko Bataya tha .Panda update ke karan Low Quality Content wale Blog Site ki Search Engine Ranking Down Huwe. Uani Ki Google Search Me Ab Thin Content Va Unnatural Backlinks wale Blogs ya Website ki Ranking Kam Ho Gaye hai.in Update ke karan Google Search ENgine me Bahut Sudhar huwa jisse Search Engine Karne wale user ke behtar anubhav ko mahsus karwaya gaya.Lekin Google Me yah Sudhar jaari rahe Aur Google Ki Taraf se har ek user ko acche se accha anubhav dene ki koshish ki jaa rahi hai .isi karan Google Dwara Hummingbird Update Launch Kiya Gaya tha.

Google Hummingbird Update Kya hai?

Google ka yah Hummingbird Update  me jari kiya gaya tha jiska Mukhay Uddesh hai ki Google ko behtar aur tez search engine ka roop me Develop kiya jaaye.is Update me User dwara Search ki jaa rahi jankari ke liye Alag-Alag Users Alag-Alag Search Query karte hai.

Google-Algorithm-Hummingbird

Aapne bhi Dekha Hoga ki Kuch Log Google per Type karke Jabki kuch bolkar Search karte hai.chahe unke dwara kisi ek hi topic per Search kiya gaya hai .lukin unke dwara search ki gaye Search Query me kuch Words ka antar hota hai.Ab Google un Users ko Alag -Alag Website bhi Top Page per Dikha Sakta hai.Kyunki Google Chahta hai ki har ek user ko best jankari Mile Jisse vah Satoosht Ho jaye.


Yani ki Google Hamesha se hi User ko behtarin Anubhav dena Chahta hai.isi karan Humminbird Update se Google user ko uske liye Best Result Show Karta hai .Yani ki Ab Google Kewal kisi Search Query ke Main Keywords per Dhyan dene ke saath - saath usse sambandh Long Tail Keywords ya LSI Keywords per bhi Dhyan Deta hai.


Jiska Sidha sa Matlab hai ki Aisa Content jo users ko behtarin jankari pardaan kar,jo user ke kisi Search Query se sambandhit sabhi sawalo ke jawab deta ho,usme mukhay Keywords ke saath Long Tail Keywords bhi Add kiye gaye ho vo Google ke Search me acchi Rank Hasil kar sakta hai Tulna me aise Content ke Jisme Users Ko Query se sambandhit Purn Jankari Na milti ho.

Is Update me kisi Search Query me sambandhit kiya gaya Conversation Search ko bhi Samil kiya gaya .Conversation Search se mere kahne ka matlab hai ki Jab ham Google per kuch Search karne ke liye Type karte hai to google us query se sambandhit Search bhi hame dikhata hai jise Conversational Search kaha jata hai.Yani ki Google us per Search karne wale User ko pahle se hi Kuch Search Queries Show karta hai.
YAni ki iska Sidha sa matlab hai ki Google ke is Hummingbird Update se aise COntent Top Ranks Hasil kar sakta hai jisme Kisi Query se sambandhit aadhi adhuri jankari ki bajay sabhi Conversation Search Se sambandhit puri jankari Pardaan ki jaati hai.

Google Hummingbird Update Se Website Blog ki Search Ranking High Kaise kare

Jaisa ki ham upar jankari Prapt kar chuke hai ki Ab Google aisa Content hi Top me dikhayega jo user ke liye Faydemand ho.jisme bahut acche trike se Long Tail Keywords Add kiye gaye hon,Jisme Conversational Search ko bhi behtar tarike se Optimize kiya gaya hon.lekin ham kaise apne Content ko bhi Is Google Algorithm Hummingbird Update ko Dhyan me rakhkar Top Rank dila sakte hai.iske liye hame Blog Post likhte samay kuch baato per dhyan dena hoga jo kuch is parkar hai.


1  - Long Tail Keywords ka Use kare --- G han Dosto Aapko kisi Main Keywords ko dhyan me rakh kar hi post nahi likhni hai usme us keywords ke sambandhit Long Tail Keywords Bhi Find Karke usko bhi post Paragraph me acche se istemal karna hai.kyunki Isse hamara Content User Friendly ban jata hai aur Saath me isse hamare Content ko Google Bhi Behtar Tarike se Samajh Sakta hai.


Esi karan best Long Tail Keywords dhundhe aur unko apni Post me behtar tarike se optimized karne ki Koshish kare,Jisse Search Query me kuch Keyword ka antar hone per bhi hamara Content Acchi Rank Position per rahe .iske liye Google Keywords Planner ka Istemal kare kyunki yah Keywords Research Karne ke liye ek behtar Tool hai jiski madd se ham best keywords asani se Find kar sakte hai.


Main Keywords - SEO

Long Tail Keywords  --- Seo Kaise kare,Seo Kya hai,Blog Post ka Seo kaise kare, Seo karne ke TOP Tips Etc.



2  - Conversational Searches Per Dhyan Dijiye --- Aap jis mUkhay Keywords per Post likhne jaa rahe hai usko ek baar Google Me search Karne ki koshish kare jisse aapko yah pata chal sake ki user is topic per jankari prapt karne ke liye koun kounsi alag-alag Search Queries karte hai.Us Conversation Searches ko bhi dhyan me rakhkar apne COntent ko Optimized karne ki koshish kare.


3 -- Long Depth Post Likhna Shuru kare -- Dekhiye aap jo Post 400 Words me acchi tarah se samjha sakte haiusko 2000 Words me likhne ki Koshish na kare lekin jo Post Aap 2000 ya 3000 Words me Likh Sakte hai usko 600 - 700 me likhne ka kya fayda hai meri aapko ek salah hai ki Kabhi bhi Post likhte hai time Words Count na Kare.kyunki Google ne kabhi bhi Official Nahi kaha hai ki kisi Post me Kam Words hai ya jyada is baat ko dhyan me rakhkar Ranking tay koti hai.

Aapko koshish hamesha yah honi chahiye ki aap jo Post likh rahe hai us Post se User ko usse sambandhit sabhi sawalo ke jawab mil jaaye.aur aise post ke likhne ke liye aapko Proper Research karni hogi.Keywords Find karne honge ,Search Queries per Nazar dalni Hogi ,Aur Khud ye sochna hoga ki User is Post se sambandhit aur kya naya sawal soch sakta hai.bas In Chizo ko Follow kijiye jisse aapko Content User Friendly Ho jayega.

Jaisa Ki Google Core Algorithm ke Hummingbird Update me us Content ko jyada acha mana Gaya hai jo user ke query se sambandhit sabhi sawalo ke jawab deta ho,aisa content likhne ke liye aapko uper bataye gaye Ko follow karni hogi.

Top Tips-- AB aapko Post likhte time aisi Soch rakhni hai ki mujhe apne blog per visit karne wale visitors ke search Query se sambandhit sabhi question ka Proper Answer Dena hai .is Soch se yadi aap Post Likhna Shuru karenge to aapka Content apne aap user va Search Engine ke liye Optimized ho jayega.


Website Blog ko Google Hummingbird Update Se Recover kaise karte hai

Yadi is Update se hamare Blog ya website per Positive Result Show ho rahe hai to kuch Blog per Negative Impact bhi hota hai.kyunki vah sahi tarike se apne Content ko Optimized nahi karte hai. jaise ki maine uper bhi aapko jankari dene ki koshish ki hai.ki kaise is update ko dhyan me rakhkar Content ko behtar Tarike se Optimized karte hai.


Yadi aap uper bataye gaye tarike ko Follow karke acche Tarike se COntent likhna Shuru kar denge to yah Update aapke liye vardan ban jayenge.bas aap ko is baat per dhyan rakhna hai ki Aapko Post aapke Readers ke liye Valueable honi Chahiye .jis Topic per apne post likhi hai vo puri information pardan karne wali honi chahiye.

Yani ki mere kahne ka matlab hai ki Aapko Google ke kisi bhi Algorithm Update se darne ki jarurat nahi hai bad aapko In Update me jo Factors hote hai unko samjhana hai aur unke anusaar apne Content ko aur ahik behtar banane ki koshish karni hai aaiye is update se sambandhit aise Question ke Answer jaanne ki koshish karte hai .jinke baare me jyadatar naye Blogger jaane ki koshish karte hai.


Google Hummingbird Update se Sambandhit Question Aur Answers

1 - Question --  Google Algorithm Hummingbird Update mukhay Roop se Kis Cheez Per adharit hai?

Answer -- Content ki Value va Smart SEarch Results Per

2 -  Is Update se nuksan hota hai ya Fayeda?

Answer -- Yah Hamre Content per Depends karta hai ki hame nuksan hoga ya Fayeda.


3 - Google Hummingbird ka Mukhay Uddeshya Kya hai?

Answer -- Google ko smart and Fast Search Engine Banana Va sabhi Users ko unki Search Query se sambandhit Best Quality Results Pardaan karna hai.

4 - Is Update se yadi ham fayeda chahte hai to hame kin kin chizo per vishesh dhyan dena hoga?

Answer -- Content ko behtar tarike se optimized karna hoga jiske liye in Chizo per vishesh dhyan dena hoga.

Long Tail Keywords,LSI Keywords,Short And Long Search Queries ,Users ke Search Query se sambandhit sabhi sawalo ke javab .

To Aaj ki post se mujhe umeed hai ki aapko Search Engine Optimization se sambandhit kuch naye jankari Prapt Hogi Jisse Aap Apne Blog Ya Website Ka Behtar Tarike se SEO kar sakenge.Isi Tarah Ki SEO,Blogging,Blogger se sambandhit New Posts Ko sabse Pahle Padhne ke  liye Blog Ka NEwsletter jarur Subscribe kar le.Aaj ki Post se sambandhit aap apne Sawal ya sujhav Comment me hame jarur bataye.aaj ki is Pst Google Algorithm Hummingbird Update Kya hai,SEO Factor ko dusre Bloggers ke saath Social Media per Share Jarur kare

Post a Comment

0 Comments