Google Penguin Update Kya Hai? Puri Jankari Hindi me

Aaj ki yah Post Blogging Va Search Engine Optimization se sambandhit hai. Is article me mai Aapko Google Algorithm Update: Penguin ke baare me jankari dene ja raha hun.yadi aapka bhi koi Blog Ya Website hai to is article ko pura padhe.


Mai aapka aaj ki Article me Swagat karta hun picli post me Maine Aapko Google Core Algorithm ke Panda Update Aur Hummingbird Update ke baare me jankari di thi yadi aapko bhi abhi tak me Core Algorithm ke baare  jankari nahi hai to aap meri Pichli Post jarur padhe .jaisa ki hum jante hai ki Google panda update ke karan jo website ya Blog thin Content wale the ya jin per user Friendly Content Publish nahi hote the unki Search Ranking kam ho gaye .yani un Blog ya Website ka Organic Traffic bahut ho gaya hoga. 
Google-Penguin-Update



Is Update se jaha ek taraf kuch Blog Site ko nuksan huwa to dusri taraf kuch Blog Site ko Benefit huwa.unko Google Search Engine Se Quality Organic Traffic jyada matra me milne lag gaya .isse jo users Google Search per Jyada Karte unko fayda hua kyunki ab unko Google Quality Content wali Website hi Search Result me pahle page me dikhata hai.





Jaisa ki ham Jante hai ki Google me Kisi Blog Website ki Search Ranking tay karne ke liye 200 se bhi Adhik Factor hote hai.aur sabhi Factor Google ke Algorithm Update me hamare samne aate hai.Google Panda Update me Kewal Content dhyan rakha gaya hai.Lekin Google Penguin Update me Content ke alawa kuch aur factor jode gaye jiske baare me ham is post me vistar se janenge.





Google Algorithm Penguin Update Kya hai

Google Penguin Update : Google ki taraf se 24 April 2012 ko launch kiya gay tha.Jo Penguin ka pahla update tha uske baad is update ke kaey New Version saamne aaye hai yah Update Mukhay Roop se Link Building per adharit hai.


Yani ham apne Blog ya website ko search Engine me High Rank dilane ke liye Backlink banate hai jisse jyada se jyada Links hamare Blog per aane lag jaaye jisse hame Traffic mile aur hamari Google,Bing va Dusre Search Engine Me Rank sudhar jaaye.lekin is update me google ki taraf se Blog Site Ka Link Building ka tarika dekha gaya hai.


Kyunki pahle kaey Website Owners bahut jyada matra me galat tarike se backlink bana lete the aur Google me Tops Rank hasil kar lete the lekin Google Penguin Update ne is tarike per ek tarah ki Rook laga di hai.


Mai maan ta hun ki kisi bhi blog ya website ko high Search Ranking Position dilane ke liye Backlink Honi chahiye lekin yadi ham galat tarike se backlink Create karte hai to hame google penguin ka shikar hona par sakta hai.


Google Penguin Update ke karan un Website ke Search Ranking acchi huwe jo backlink banane ke liye Natural Tarike ka istemal karte hai lekin un site ko nuksan hua jo unnatural tarike ka istemal karte hai.


Lekin Google ke is penguin update me kewal Link Building ka hi dhyan rakha gaya hai isme kuch dusre bhi Factor Add kiye gaya jaise ki----


1. Keywords Stuffing ---- Keywords stuffing karne ka matlab hai ki ham jab bhi koi blog per Blog post likhte hai to usme had se jyada keywords ka upyog karte hai had se jyada keyword Use karne se Post na to user Friendly rahti hai aur na hi Search Engine Friendly. Kyunki jab bhi ham had se jyada Keywords kisi Post me Use karte hai to usme hamari mansha SEO karne ki hoti hai lekin Google aise post ko spam samajhta hai aur is parkar ki post rank nahi hoti hai.

Is karan Google Penguin Update se un website ko nuksan hota hai jo keyword stuffing karte hai.

2. - Over Search Engine Optimization -- Jab bhi ham apne Blog Site ka SEO karte hai to hame is baat per vishesh dhyan dena chahiye ki had se Jyada SEO hamari Site ko nuksan pahuncha sakta hai.aise site ko Google Penalize kar sakta hai .jab shuruaat me yah Penguin update aaya tha.to isse bahut Popular English Site ko nuksan jhelna para tha .aap soch sakte hai ki aapko kaise pata tao mai aapki jankari ke liye batana chahta hun ki un English Site ki Rank ko lekar kay Blog Post Likhi gaye hai jinme se maine kuch Post padhi hai.


3 - Link Building à¤•à¤°à¤¨े का तरीका --  Iske baare me ham uper charcha kar chuke hai.yani ki Google Algorithm ke is update me kisi bhi website ki Backlink me Quantity place per Quality honi chahiye .yadi aapke site ya blog per aane wali Links kewal Quantity me jyada hai to isse aap ko nuksan hoga .yadi aap Natural Tarike se backlinks Create karte hai to hame Benefit hoga.



Google Penguin Update Ke Nuksan se Website Blog ko Recover kaise kare

Yadi hamara Blog ya website bhi is update ka nuksan jhel rahe hai to jarur ham galat tarike se SEO kar rahe hai jise ham Black Hat SEO kahte hai.Lekin apni galti ko sudhar sakte hai .iske liye aap niche diye gaye kuch Tips ko Follow kare.

1 - Unnatural Links बनाना बंद करे --  G Han aap ko is baat per dhyan dena hai aage se jab bhi aap apne Blog Website ke liye Backlink banate hai vo Natural Link honi chahiye yani ki self Building honi chahiye.aapko kis SOurce se backlink mil rahi hai aapko us per dhyan bhi dena chahiye.kyunki ek Spam website se banaye jane wali link hamesha hi Spam Backlink hogi Site se Backlink banate time us site ka DA,PA,Spam Score jarur Check karle.

Spam व Unnatural Backlinks--- se bachne ke liye aap hamesha koshish kare ki aap jis website ya Blog se Backlink bana rahe hai vo aapke Blog site se sambandhit ho.mere kahne ka matlab hai ki aap Health Blog ke liye Backlink bana rahe hai to aapko kisi Dusri Popular Health Blog se hi Backlink banana chahiye na ki kisi Technology se sambandhit Blog se Multi Niche Blog ke liye yah baat jyada mayne nahi rakhti hai.

Backlink kharidne se bhi aapko parhej karna chahiye.kyunki Internet per aapko bahut se aise Blog Site ,Black Hat SEO Expert milenge jo aapko kuch Doller me Quality Backlink dene ka wada karte hai.lekin vo kewal ek bharam hai.in Chakkaro me na rahe . backlink banate time Anchor text per jarur dhyan dijiye.anchor text me yadi hamare blog se sambandhit koi keywords ya blog post se sambandhit koi keywords hoga to uska hame Benefit hoga.



Unnatural Links ya Spam Backlinks ko Remove kar Dijiye---- yadi aapke Blog per aane wali links spam ya unatural tarike se banaye gaye hai to unko Remove kar dijiye.ab yah sawal uthta hai ki Remove kaise kare to iske liye bhi mai bahut jald post likhne wala hun tab tak aap HindiMeHelp,SupportMeIndia,Blog per post padh sakte hai.kyunki sayad aapko in blog per isse sambandhit post mil jaye.


3 - Keyword Stuffing mat kare -- Mujhe Blogging ka lagbhag 1 Year ka anubhav hai is anubhav ke aadhar per mai aapko yah batana chahta hun ki aap jab bhi Koi COntent Blog Post ke roop me likhte hai to hamesha apne Blog ke Users ke liye likhna hai na ki Search Engine ke Bots ke liye .is baat ko yadi aap dhyan me rakhkar Post likhne ki koshish karenge to keywords Stuffing ki Problem hi nahi hogi.

Iske Liye Mai aapko Example Dena Chahta hun.

(A) Namaste mai Nemat hun.mai nemat SEO ke uper vishesh roop se likhta hun.mai nemat apne blog per Daily New Content Publish karta hun.

(B)  namaste mai Nemat hun SEO ke uper vishesh roop se likhta hun.mai apne blog per Daily New Content Publish karta hun.

Ab aap Dekhiye A wale paragraph ko padhna asan hai ya B wale ko ,bas hame bhi is baat ka dhyan post likhne ke time karna hai.yani ki yaha jarurat hai us place per keywords ka user kare.bewajah Post me keywords Add karne ki koshish na kare.

4 - Natural या White Hat SEO का इस्तेमाल कीजिये ---G han is baat per vishesh dhyan dijiye Natural Ya White HAt SEO va Black Hat SEO me antar aapko pata hona Chahiye .yadi aapko nahi pata hai to aap dusre Popular Blog ko jarur Read kijiye.Kyunki sach me aapko bahut Benefit hoga.isse aapko in dono me jo fark hota hai uske baare me pata chalega.jisse aap SEO sahi tarike se karenge .is Topic per mai bhi aapke liye bahut jald Post publish karne wala hun..
Important Note: Google Penguin Update 4.0 ek naya sanskaran hai.ab google un website ko dalndit karne ki bajay unki Spam Backlink ko Search Ranking me koi Value nahi deta hai.is parkar jo Blogs ya Website hazaro ki Sankhaya me Unnatural Backlinks Create karte the .uski Search Ranking tay karne me in links ki koi Value nahi rehti hai google kewal Quality Backlinks ko hi Search Ranking Factor manta hai.


Conclusion

To kul milakar ham yah baat kah sakte hai ki Google Algorithm ki har ek update Webmaster ke liye bahut jaruri hai.hame in Update ko acchi tarah samajhkar apne Blog site me sudhar karna chahiye.is Process me aapko madd hamara blog karega.aapka aaj ki is post se sambandhit koi sawal ya sujhav hai to aap comment jarur kare aaj ki is Post Google Algorithm Update : Penguin ki hindi jankari ko dusre Bloggers ke saath share jarur kare.


Post a Comment

0 Comments