Search Engine क्या है और कैसे काम करता है?

kya aapko pata hai Search Engine kya hai(What is Search Engine) aur ye kaise kaam karta hai.iske saath-saath mai aapko kuch jankari dene wala hun.aaj ke is article me jamana to Internet ka hai aur Internet bina Information ke kuch bhi nahi hai.jab bhi aapke man me koi sawal aata hai to is 21 Century me koi bhi insaan aas-paas ke logo se ya ,unke terchers se nahi puchte hai.vo sidhe apna mobile nikalte hai aur jo bhi unke man me sawal hai vo likh dete hai.unko kuch second ke andar me jawab mil jata hai.

Search-Engine


Jab bhi dosto ke bich me koi sawal ko leke Argument ho jata hai to uska jawab bhi internet me matlab koi Search Engine,Jaise Google.Boing,Yahoo pe Search karte ho .lekin ham 1990 ki baat kare to aisa koi concept nahi tha jahan aap kuch Search karo aur turant mil jaye.us daur me to Internet bhi nahi tha.

Baat ki jaaye aajkal ki logo ke man me hazaro sawal aate hai aur har koi bolta hai internet me dundh mil jayega.ye uva pidhi ise kahti hai Google karlo bhai.yahi vo Search Engine hai jiski aaj ham hamare Reader ko Artile me batayenge.Google Yahoo Bing ki jankari is Article me denge to chaliye shuru karte hai.





    Search Engine Kya hai

    Earch Engine ek Program hai. Ya Search Engine ek aisa Program hai jo Internet ke asimit Database se user ke sawal ko khiojta hai (jisko Keyword /Pharse bola jata hai) ,aur uske sambandhit jo jankari milti hai usko search rsult me dikhata hai ,jaise Google karta hai har sawal har sawal ka world wide web (www) me search kiya jata hai.

    Internet me jo bhi Search kiya jata hai usko dhund ke Search Engine Exact Result dikhane ka kaam karta hai.kuch Search Engine ke naam hai "Google, Yahoo,Bing"aapko ek Example se acche se samjhata hu .aapke man me ek sawal aaya to aap turant Google jo ek search hai usme Search karne lagte hai aapka sawal hai "Computer kya hai aur ye kaise kaam karta hai"


    Search Engine Internet pe jitne bhi Website hai unme is sawal ko search karta hai.jahan jahan ye sawal match hoga un website ke naam matlab Search result ke pahle page me dikhye dega.uske baad koi ek link pe aap click krke "Computer kya hai aur ye kaise kaam karta hai" iska jawab padh sakte ho.


    Jo sawal hai usi ko internet bhi language me Keyword kahte haai to chaliye ab aapke man me ek sawal jarur aaaya hoga ki waise ye Search Engine matlab Google,yahoo,bing kaam kaise karta hai.jo information (jankari) search karte hai uska pura sahi-sahi jawab bhi deti hai to chaliye jaante hai kaise----




    Important search Engine ka naam -----Search Engine List


    Aise Dikha jaaye to duniya me bahut saare search engine hai, per yahan ham aapke liye sabse jyada istemal kiya jane wala popular search engien list dikha rahe hai..

    1. Google
    2. Bing
    3. Yahoo
    4. Ask.com
    5. Aol.com
    6. Baidu
    7. Wolframalpha
    8. DuckDuckGo
    9. Internet Archive
    10. Yandex.ru

    Indian Search Engine ka Naam


    jahan itna saare Search ENgine hai.waha hamare desh kaise piche hatta hai?yahan aapke liye kuch indian Search Engine ki hamne list banaya hai.ye sare itna popular nahi hai,par had tak accha kaam karta hai.



    1. 123Khoj
    2. Epic Search
    3. Bhanvad
    4. Gisass
    5. Guruji

    Search Engien kaise kaam karta hai

    Pahle se hi aapko bataya gaya hai ki jo bhi sawal ,text ,word apne browser ke search engien search me likha jata hai,usnko Keywords bola jata hai.agar aap google me "what is Search Engine in hindi " likhte hon to yee keywords hai.is Keywords ko world wide web (www) me dundh jata hai.jab ye keyword koi website ke title ya article ke content ke saah match hota hai aur tags ke saath match hota hai to usko search result me show karta hai.ye to aam aadmi ke liye tha Thoda technically samajhte hai

    Search Engine tin Steps me kaam karta hai.sabse pahle Crawling,Indexing,Retrieval. in 3no ke baare me vistar me jante hai.

    Crawling

    Crawling ka matlab dundna .aur acche se samajh lo ek websites ke saare data ko ya website ki puri jankari ko hasil karna .is process me website ko scan karna Page ka Title kya hai,keywords ki jankari ,Content me kitne Keywords hai,Images aur koun se page me link hai website ke saath .lekin Aajkal ke Modern Crawler me sayad tak ek webpage ke pure Cache ko hi copy kar lete hai.iske saat saath page Layout kaise hai,Advertise kahan-kahan hai, Link kahan diye gaye hai ye bhi Store hota hai.


    Search Engine website ko Crawl kaise karti hai? Search Engine website ko crawl ke liye Bot hote hai jo har naye aur purane pages ko search karta hai jiska Discovery bola jata hai .Bots ko Spider bhi bolte hai, jo har roz Crore pages visit karta hai.lekin hamare ya aap jaise nahi bahut tezi se read karte hai.


    Google ke mutabik kariban 1 Second me 100 se 1000 pages ko visit karta hai.jab Bots ko koi naya page milta hai to vo usse Back-end Processing (Page Tile,Meta Tag,Keywords,Backlink,Image,Video) ko ke liye bhej ta hai.aur fir check karta hai ki is page ke saath koun koun se page aur linked hai.

    jab bhi koi naya page milta hai to fir wahi process repeat hota hai.Crawling,Backend Processing+Indexing.iske baad hota hai.Page Indexing iske bina Google kabhi bhi sahi Search dikhye nahi de sakta hai.lekin kuch aise bhi website hai jiko aap TOR NETWORK ke jariye Search kar sakte ho.


    Indexing

    apne dimag pe jyada jor mat daalo ye Indexing ko samjhna bada asan hai.Indexing ek process hai .jahan Crawl ke dauran jo bhi data milta hai un sabhi data ko database me palce karna hai.ek Example lelo aapke paas Bahut saare books hai.aap un books ke author name,books name,books ke har page ko read karna Crawling hai lekin in sab details ki listing karna hi Indexing hai.ab is baat pe gaur kare Search Engine sirf ek website ko crawl nahi karta hai balki duniya me jitne bhi website hai unko Crawl Aur Indexing karti hai.


    Google Search Sammelan ke mutabik Google Spider har roz karban 3 trillion pages crawl karti hai .iska matlab hai ki google ke paas world me jitna Information hai un sab ka library hai

    Google Search Engine data ka bahut bada server hai jahan data hazaro lakho ki tadat me jo peta byte Diver hai vaha Store hota hai.

    Ranking and Retrieval
    Search engine ka ye waise aakhri step hai,lekin ye aakhri step hi bahut jyada Complex hai.kyunki jab aap kuch google me search karte ho sabse pahle search ka kaam ye hai ki jis ki jankari ko aap search kar rahe hai exact wahi information aapko mile.logo ka search engine pe tabhi bharosa hota hai jab vo user relevant content dhund nikal ke dikhati hai.iske liye google kuch algorithm ka istemal karti hai.jo algorithm kuch Parameters ke mutabik kaam karte hai.jime se kuch Content age , COntent keyword,Content page title.


    Page Ranking ke liye google ke 200 factors hai .jinke jariye hi ye pata lagaya jata hai ki search karne pe page google home ke kis position pe search result dikhana chahiye.rank algorithm ko samajh pana bara muskil hai.kyunki 1 billion web pages me se kisko google search karke pahle page me show karti hai.waise to Ranking Factors ko hack karne ke liye bahut saare hackers apna dimag laga rahe hai.


    Pahle Ranking ka andaj kitni baar Post me keyword istemal kiya gaya hai aur backlink kitni hai in sabse bari asani se site ko rank kiya jata tha.ab kuch saalo se google ranking factors ko dhundh nikalna bara hi muskil ho gaya hai har saal google apna algorithm badal raha hai.kyunki Google un site ko pahle aane ka mouka deta hai jo sach me mehnat kar rahe hai.kuch is tarah se in 3 steps me search engine kaam karta hai.

    History of search Engine 

    Saare Search Engine ka kaam ek hi tha Internet pe data search karna aur Display karna.suruati dino me Search Engine kuch aur nahi bas ek File Transfer Protocol ka Collection tha.jitne bhi server ek dusre se connect the unme se data dhundna tha.tab ke World Wide Web internet se judne ka ek maatr jariya tha.Search Engine ko isliye banaya gaya kyunki Web Server aur File ko locate karna itna aasan nahi tha.

    Sabse Pahle wala Search Engine ek School ka Project tha,Jisko banane wale ka naam hai Alan Emtage.jo 1990 me vo McGill University ka Student tha.To Chaliye ab jante hai alag-alag Search Engine kab or kaise bana.


    Excite

    Excite ka Born February 1993 ko huwa tha.Excite bhi ek University ka Project Tha aur us Project ka naam tha Architext. Is Project me 6 Under Graduate Student the.StanFord University ka ye Project 1995 tak aage chal ke Crawling Search Engine ka roop le liya.isme kaafi growth ke karan isne Web-Crawler aur Magellan ko bhi isne Kharid liya .aakhir me isne MSN aur NetScape ke saath Partnership kar li.


    Yahoo

    Isak Born to abhi bhi hai,thoda bahut to aap jante hi honge iska born 1994 ko huwa tha.iski shuruat Stanford University me huwe the .1994 me Jerry Yang aur David Fillo ne iski Surat ki thi.ye Dono Electrical Engineering ke Graduate Student the.unhone jab ek website banaye jiska naam tha"Jerry And David to Guide to world wide web" ye guide ek Directory thi jo dusre website dusre websites ko Organize karke rakhta tha.1994 me yahi Guide Yahoo ka roop le liya tha.yahoo.com domain 18 january 1995 Registered huwa tha.

    WebCrawler

    ye ek Meta Search Engine hai jisak Janam April 20 1994 me huwa tha.Google aur yahoo dono ke top result ko ye show karta tha.jisme aap audio,video,newa ko bari aasani se Search kar sakte ho.isko banane wale ka naam hai Brain Pinkerton University of Washington me 

    Lycos

    iska bhi Janam 1994 me hi huwa tha.ye Search ke Saath-Saath- ek web Portal seva deta hai.Carnegie Mellon University se iski shuruat huwe .ye email,web hosting,social networking aur Entertainment websites ki seva bhi deta tha.

    Infoseek

    Infoseek bhi kafi popular Search Engine hai jiska janam 1994 me hi huwa tha.jiske Founder the Steve Krisch.Infoseek ko Infoseek Corporation operat karta hai.Iska Head Quarter SunnyVale,California hai.is Company ko The Walt Disney Company ne 1998 me kharid liya fir ye baad me Yahoo ke sath jud gaye aur abhi iska koi naam nahi hai.


    AltaVista

    Iska Janam 1995 me huwa tha .purane jamane me ye ek jaada istemal karne jane wali Search Engine hai 2003 me isko Yahoo ne Kharid liya .lekin Brand aur Services AltaVista ke ji the.lekin 2013 July me saare Services ko Yahoo ne Band kar diya aur ye yahoo Search Engine Me redirect ho gaya .

    Inktomi

    Inktomi ka janam 1996 me huwa tha.inke Founder the UC Berkeley Professor Eric Brewer aur ek Graduate Student jinka Naam Paul Gauthier shurat me ye bhi ek Search Engine thi hisko University me Develop kiya gaya tha.

    Ask.Com

    Iska naam to aaj bhi Ask.Com pahle Ask Jeeves tha.iska bhi janam 1996 me huwa tha.ye ek Question answer site hai.jiska Jaada Focus E-Business aur web search engine pe tha.iske Founder ka naam Garrett Gruener and David Warthen California se.

    Google

    waise aaj ke time me Google ek Arbo Kharbo ki Company hai,Jisne Oxford Dictionary me apni khud ki jagah bana rakhi hai,jo ki ek kirya hai.lekin isko banane me do PHD Students ka haath hai jinka naam hai Sergey Brin aur Larry Page jo ki Stanford University ,California ke student the,1996 me ve wahi pe aapas me mile the aur wahi se is search engine ki shurat huwe.


    1996 me Sergey Brin Aur Larry Page jab PHD Padhai kar rahe the unhone apna PHD ka Re-Search Project me kuch alag karne ki sochi aur vo soche the "agar ham website ko rank kare dusre website ke saath tulna karke , to kafi acha hoga,us time unka rank karne ka tarika ye tha ,jitni baar search kiya gaya words ,us webpage me hoga us hisaab se vo Rank karenge aur yahi kalpana aaj Google ka Roop hai,Surat me unhone iska naam BACKRUB diya tha.1997 me dono ne Search ENgine ka naam "Google" Rakh Diya tha.

    Post a Comment

    0 Comments